Ae Ishq Hame.n Barbaad Na Kar - Nayyara Noor

Tags:
Nayyaranoor Pakistani Urdu
raqaw
  • Affiliate Submitter:
    raqaw
  • International International
  • Comments: 1
  • Views: 677
  • Added: 27-Jun-07

pakistani urdu ghazal in raga: darbari
poet: akhtar shirani
ai ishq hame.n barbaad na kar
ai ishq na chhe.r aa aa ke hame.n
ham bhuulay huuo.n ko yaad na kar
pehlay hii bahut naashad he.n ham
tuu aur hame.n naashaad na kar
qismat kaa sitam hii kam nahii.n kuchh
ye taazaa sitam, iijaad na kar
yuu.n zulm na kar, bedaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar

raato.n ko uTh uTh kar rotey he.n
ro ro kay du'aaye.n kartay he.n
aa.nkho.n me.n tasavvur, dil me.n Khalish
sar dhunte he.n aahe.n bhartay he.n
ai ishq ye kaisaa rog lagaa
jiite he.n na, zaalim marte he.n
in Khvaabo.n se yuu.n, aazaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar

jis din se bandhaa hai dhayaan teraa
ghabraa'ye huu'ye se rehtay he.n
har waqt tasawwur, karkar kay
sharmaa'ye huu'ye se rehte he.n
kumlaa'ye huu'ye phuulo.n kii tarah
kumlaa'ye huu'ye se, rehte he.n
paamaal na kar bedaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar

  1. Categories: Music & Dance
Comments on

Ae Ishq Hame.n Barbaad Na Kar - Nayyara Noor

16 Comments | Add Comment 16 Comments | Add Comment